sagar kumar has just posted in the Urdu Adab and Shayeri forum of ITDarasgah.com - Urdu Forum for IT Education & Information under the title of Jangle.
This thread is located at http://www.itdarasgah.com/showthread.php?t=90746
Here is the message that has just been posted:
***************
*Ek jangle hai uss ki aankhon me..
Raah chalety nazar jo wo aaye
iss qadar main ulajh sa jata hoon..
Raah khud apni bhool jata hoon...
Chand se sitator se..
Gul se guftagoo karna..
Badalo se sahra tak..
Saari justajoo karna
ilteja ye itni hai..
Bhool kar kabhi hargiz
tazkera mohabbt ka
ladkiyon se mat karna....
Ek ek jaga maujood tera aks main dekhoon
khushboo ke jazeron se sitaron ki hadon tak....
Wo mila tha muddatonbaad bhi
mere lab pe koi gila na tha
ussey meri chup ne rula diya
jissey guftagu me kamaltha
khud apne liye baith ke sochengey kissi din
yun hai ke tujhey bhool ke dekhenge kissi din
hil jayengey ek roz to arshon ke dar o baam
hum khaak nasheen log jo bolengey kissi din..
Aa dil ke ab ke wasl me khun e jigar ope hum
har ashk ashk wasl ki ummid pe hansey........
Koi atka hua hai pal shayad
waqt me pad gaya hai bal shayad
dil agar hai to dard bhi hoga
iss ka koi nahi hai hal shayad....*
***************